Pasand Ki Shadi Ka Wazifa kia hai?

Loading

QuestionsPasand Ki Shadi Ka Wazifa kia hai?
Tajamul Hussain asked 3 years ago
2 Answers
Akhtar Bhai Spiritual Healer answered 2 years ago
Pasand ki shadi ka wazifa or wazifa for love marriage karny ki zarurt tab parti hai jab parents na maan rahe hon yaa society pasand ki shadi ko sai naa samjti ho. Ek or waja be ho sakti hai ke agar mehboob shadi ke liye naa maan raha ho. Lekin esa bohat kam dykhnay me aia hai.

Ziada tar mohabbat ki shadi naa hony ki waja se khud khushi kar lety hain Jo ke kisi be lihaz se sai nai hai. Phr esa be dykhny me aia hai ke ek joda jo mohabbat karta tha or pasand ki shadi kar li hai tu koi na koi rishta dar Izat ke nam pe qatal kar dyta hai. Jo har zawye se galat hai.

Is taran ke masail ko hal karny ke liye or pasand ki shadi karny ke liye taran taran ki musiboto se chutkhara hasil karny ke liye ap pasand ki shadi ka wazifa kar sakty hain.

Asar ki namaz ke baad ‘Surah Inaam‘ rozana phren. Inshallah parents apki shadi ke liye man jaengy. Agr mehbob na manta ho shadi ke liye to ap sath he sath ye wala wazifa for love kar sakty hain.

Isi ke sath sath apko har rooz Isha ki namaz ke baad 11 martba Darood Pak awal akhr phar ke 505 martba nichy dia gya pasand ki shadi ka wazifa phrana hai.

اَلَّلهُمَّ یَا جَامِعُ النَّاسِ لِيَوْمٍ لَّا رَيْبَ فِيهِ إِنَّ اللّٰهَ لَا يُخْلِفُ الْمِيعَادَ۔ اِجمَع بَینِی وَبَینَ کَذَا

ALLAHUMMA ya jami’unnasi li-yawmil la raiba fi innallaha la yukhliful mi’aad. Ijma bayni wa bayna kaza.

Ye wazifa apke pasand ki shadi ke taman masail hal karega.

Fardeen answered 11 months ago
Assalamu alaikum bhai( ye wazifa karne se hamari ammi man jaye gi or jisse ham mohabbat karte wo ladhki mane gi ki nahi or ye kitne din karna hai in ayaat ko padhne ke baat name lena bhi jaroori hai kya ??
Akhtar Bhai
Spiritual Healer replied 10 months ago

Walikumslam, agar ap uper dia gya wazifa karty hain tu apke parents man jayengy leking agar larki nai manti tu ap sath dusra wazifa be kar sakty hain. Naam lena zaruri mohabbat ke wazifa me hota hain ap agar is wazifa me naam naa be lain tu koi problem nai hai.

Write Your Answer Below

1
+
7
=







error: